Bebus hai yeh ankhon jinme naami nahi hai
zubaan kehna chahe to bohut kuch padh lavz nahi hai
dil chahe ki tera yaad na aaye padh
iss dil mein tuhi samayi hui hai
Teri bewafai ke jakham jab jab yaad aaye
bebus ashq meri aankhon me chhalak aaye
wafao se tola hai tune meri wafao ko
kash koi kisi ko is tarah kabhi na aajmaye
darta hai dil ab to apni hi tanhai se
kahi jaam-e-wafa chhalak hi na jaaye
har ajnabi chehre mein uski jhalak dikhayi deti hai
chalti hai deewani jab, to nazar jhukaye rehti hai
dikh jaata hai vo kahin to dhadkan kyun ruk jaati hai
chalte chalte jaise koi dor si khich jaati hai
paani ki lehron mein bhi jannat dikhayi deti hai
chalti hai deewani jab to nazar jhukaye rehti hai
aankhen gar mil jaayen to din poora ho jaata hai
nazarein phir jhuk jaati hain, pagal mann kho jaata hai
barkha ki pehli boonde jab dharti par pad jaati hain
is pagli deewani ko phir yaad usi ki aati hai
nazrein phir jhuk jaati hain, pagal mann kho jaata hai
muskurahat ka lamha phir se wapas aata hai
aasman jhilmilata hai, raat jab bhi aati hai
ye pagli taaro se uska chehra banati hai
raat bhi dhal jaati hai, suraj chadh aata hai
is tarah deewani ka poora din kat jaata hai
Is kadar hum yaar ko manane nikale,
uski chahat k hum diwane nikale,
Jab bhi use dil ka haal batana chaha,
to uske hoton se waqt na hone k bahane nikale..
hum apni wafa ka yakin tumko dila na sake
tumse gaye door kya, phir paas aa na sake
Iss kadar toot kar chaha tujhe
ke tere baad hum kisi aur ko chah na sake
Koi mila hi nahi jis ko wafaa dete.
Her ek ne dokha diya kis kis ko sazaa dete.
yeh humara zarf tha k khamosh rahe
dastan sunate to mehfil ko rula dete.
Mujhe mitti k ghar banane ka shokh tha,
Usay Aashianay girane ka shokh tha,
Main khud se rooth jata hon aksar is liye,
Mujhe roothe huye log mananay ka shokh tha,
Usse waadon ki paasdari pasand na thi,
Lekin mujhe Ahad nibhane ka shokh tha,
Main masroof tha tanhaiyon ki talash main,
Usse logon se milny milanay ka shokj tha,
Woh bewafa tha is main Hairat ki baat kya?
Mujhe bewafaa se dil lagane ka shokh tha…..
Jaruri to nahi jeene ke liye sahara ho,
Jaruri to nahi hum jenke hain vo hamare ho,
Kuch kashtiyan dub jati hain, jaruri to nahi
Ki har kashti ka kinara ho.
Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai…
Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai’
Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..
Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai…
Meri Ankhoon Ke Samandar main Jalan Kaysi Hai
Ajj Phir Dil Ko Tarapne Ki LaGan Kaysi Hai
Ab Kisi Chaat Pe Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaysi Hai.
Dil mein base kuch dard aise, jo sabse chupaata chala gaya,
aansuon ki dharaaon ko patthar banaakar bahaata chala gaya,
tere pyaar ka tha asar aisa, kagaz ke phool bhi mehakte the,
dukh ka ghana saaya hun ab,
mohabbat ki roshni hokar andhere mein badalta chala gaya.
Dil hamesha jo chahe mumkin nahhi ki sab mil jaye
khushi hai begane hamare liye
tu aane ka swapna dikhaya bhi tha palko mein
padh aaya bhi nahi aur swapna tod k chal diye
Kuch waqt pehle hame v zindagi ne azmaya tha,
ek shaks k sath humne v hasta hua pal bitaya tha,rota hua chod gya to kya hua,
hasna v to usi ne sikhaya tha.
AJ EID PHIR UDAAS HAI,
Ajnabi si raahon mein,
Door tak nigahon mein,
Berukhi ka mausam hai,
Aaj phir nigahon ko,
Beete pal ki pyaas hai,
Phir rahi hoon darbadar,
Mojzay ki aas hai,
Aisa lagta hai jaise,
AJ EID PHIR UDAAS HAI,
Baat to kare koi,?
Saath to chale koi,?
Khamoshi ka pehra hai,?
Zakhm dil ka gehra hai,?
kisi apne ki mujhe talaash hai,..?
Aisa lagta hai jaise,
AJ EID PHIR UDAAS HAi…
Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare,
Kare to qayamat tak judaa na kare.
Ye maana ki koi marta nahi judaai mein,
Lekin jee bhi to nahi paata tanhaai mein!
Dil tut jaate hai tinke ki tarha
umeed bikharte hai motion ki tarha
pyaar saza ban jati hai zindegi jine k liye
dard hota hai seene mein aag me jal ne ki tarha
Reet Hai Jane Kaisi Ye Zamane Ki......
Jo Saza Milti Hai Yahan Dil Lagane Ki......
Na Basana Kisi Ko Dil Me Itna.......
K Fir Dua Mangni Pade Use Bhulane Ki........
Mere dil ko todakar tum jaaoge jaha,
Meri baate yaad tumako aayegi wahaa,
Main to apna samajhkar tumhe maaf kar dunga,
Magar maaf na karega tumako ye jahaan.